Wednesday, December 7, 2011

Har kisi ko jhooth keh dete hain hum, ki hum khush hain, par is dil ko kahein, jo har pal udaas hota hai, ek bewafa ki yaad mein, har pal ye dard se rota hai...

Tuesday, December 6, 2011

wada kiya tha jab milenge muskuraaenge, humein kya khabar thi, hamare guzar jaane pe wo aansu na bahaayenge, ek pal humaari ore dekhenge, fir has kar laut jaayenge...
Tujhe dil ka haal bataya tha, kya khabar thi, ki tu dil tod degi, wo bhi waqt tha jab main teri nazron mein khud ko dekha karta tha, kya pata tha tu muh mod legi.
kabhi jo tune mere aansu gine hote, to e bewafa, tujhe bhi ehsaas hota ki main kaise jiya tha, Kaise tere saamne hamesha muskurata tha, kaise apna dard chhupa ke saath tera diya tha, kaise in zakhmi pairon par, tere saath milo chala tha main, tujhe zindagi ki saari khushiyaan mile, isliye kaise maine zeher piya tha...
Hum bhi kabhi teri zindagi ke us karvaan ka ek hissa the, jise hum aaj, dur se guzarte huye dekhte hain...
tere dar pe sar ko ishq ke liye jhukaya tha, kya pata tha, wahan har roz kai sar kalam hote hain...

Monday, November 21, 2011

in sard raaton mein un garm haathon ko dil ke paas mehsoos karta hun.... un bhaari saason ko mujhe kuch kehte mehsoos karta hun, mehsoos karta hun un aankhon ka meri or pyaar se dekhna, un lamhon ko fir se jee ta mehsoos karta hun...

Thursday, November 17, 2011

maine ishq mein bus ek hi khata ki, ki tujhe apna khuda bana diya... Aisi saza e maut mili is aashiq ko tere, ki saansein chalne di, par dil nikal liya...

Wednesday, November 16, 2011

ar kisi se muskura kar milte hain, logon ko gale laga kar milte hain, kya pata kisiko, kitne zakhm hain is dil mein, hum wo hain, jo chahe milne par rooh dard se tilmila uthe, fir bhi jaan luta kar milte hain...

Sunday, November 13, 2011

mujhse na pooch main itni kyun peeta hun ae saaki, bus itna samajh le, kuch baatein hain jo yaad karni hain, kuch log hain, jinko bhulaana hain, bahaut arsa ho gaya hai mujhe dil khol ke roye, shaayad aankhon se mujhe wo aansu chalkaana hai...

Wednesday, November 9, 2011

hafton ho gaye mujhe chain se soye huye,
shaayad wo teri hi aahat hai, jo aaj bhi meri need tod jaati hai...

Sunday, November 6, 2011


aisa kya gunaah ar diya maine e khuda,
ki har baar ek hi sazaa deta hai,
jis ne dil ok chalni kar diya,
har din usi se mila deta hai....

aise zulm ka main haqdaar nahin,
tere ehsaano ka to main karzdaar nahin,
aisi saza kis se jalke tu ne di hai mujhe,
itna to kisi ko bhi mujhse pyaar nahin...

har roz mere saamne uska anaa ek saza hai,
uska mujhe kuch kehna, tera mujhse kuch kehelwana ek saza hai,
kya khaak ishq pe bharosa karun main e khuda,
ter hote huye to ishq bhi ek sazaa hai...

pehle dil ka dhadakna rok nahin saka,
fir meri kisi bhi galti pe mujhe tok nahin saka,
aisa kya pyar ha tujhe is badnaam aashiq se,
mujhe maut ki aag meni bhi jhonk nahin saka...

Saturday, November 5, 2011


tu mere dil ka dard dekh, meri muskurahat pe na ja,
is tadapte dil ki awaaz sun, pairon ki aahat pe na jaa,
tujhe ek pal bhi ehsaas nahin hota, kitne akele jee rahe hain hum,
kabhi gaur se meri aankhon mein dekh, is khush karti garmaahat pe na jaa...

Friday, November 4, 2011

sapno ka peecha kab tak karein, sapne to aksar toot jaate hain,
jin haathon mein rakhte hain zindagi, wo haath aksar chhoot jaate hain,
so jaane ki ab himmat nahin, mujhme ae dost,
kyunki sapno mein fir se, wahi bewafa nazar aate hain,
raat ko sapne dikhaate hain, subah unhe tod jaate hain...

Thursday, November 3, 2011

kyun tera chehra, baar baar, saamne aa jaata hai?
kyun meri shaant dhadkan fir tadpa jaata hai?
kya gunaah hai mera, mujhe bata e sanam,
kyun bujhti aag ko, fir se jala jaata hai,
kyun tera chehra, baar baar, saamne aata hai?
hum har pal izhaar e ishq karte rahe, tum har pal usey thukraate rahe, 
humne har pal tumhaare kareeb aana chaha, tum har pal dur jaate rahe,
 kaisa khel khela tumne mere ishq ke saath, 
ki humein rota dekh, tum dur khade muskurate rahe...
jo khat tu bina padhe jalati rahi ae bewafa, wo sirf khat nahin tha...
wo is aashiq ka janaaza tha, jo tudko mein uth-ta raha...
pichhle chand lamhon mein, kuch aise sapne toote,
kuch aisi baatein hui, kuch aise bandhan chhote,
ki ab har pal, dil se ek hi awaaz nikalti hai....

khuda haafiz e ajnabee, khuda haafiz...
wo muskura kar zeher dete rahe, hum muskura kar peete rahe,
unko lag shaayad chal base hum, hum tanhai mein jeete rahe,
aaj fir jab mulakaat hui, to na hum, na wo nazrein mila sake,
wo bhi na bole kuch, aur hum bhi honth seete rahe...
tere ishq mein khud ko duba diya, 
teri yaadon mein mein khud ko bhula diya, 
aisa ishq hai aaj bhi tujhse,
Teri yaadon mein kudhko mita diya...

Monday, October 17, 2011

Kuch lamhe duur na reh paate the,
Ab to baat bhi nahin hoti,
Zindagi meri jaise aadhi si hai, jaise din to hai par raat nahin hoti,

Ab na to un taaron mein koi dilchaspi hai, jinki chaadar tale raat guzaara karte the,
Na hi chah hai ab un jaise kisi ki, jinki hum zulfe sawaara karte the,

Itne toot gaye hain, ki ab zindagi ya maut ka farak nahin padhta,
Kuch aise bandhe hain kadiyon se pair is aashiq ke, ki jitna bhi chahe aage badhe nahin badhta,

Jab tak saansein chalti rahin, hum saansein liye jaayenge,
Insaan to reh na sakenge, moorat ki tarah jeeye jaayenge,
Jab tak aayenge wo waapas, shaayad der ho chukegi,
Hum unko yaad karke duniya se chale jaayenge...
Sent from BlackBerry® on Airtel

Saturday, October 15, 2011

teri saanson ki garmahat mein jiye jaa rahe hain,
aansuon ko paani ki tarah piye ja rahe hain,
Kya khabar thi humein, tu aaj humein yaad bhi na karegi,
Hum to is dil ko aaj bhi dard diye ja rahe hain...

Dreams...




DREAMS

I was thinking of us last night
And the times we shared
How good we were
But now we are apart
Yet we still have our
Dreams

For in our Dreams we are together
Holding hands on the beach
Talking all night under the silver moon
Kissing and holding each other tight
Dreams

For no matter the distance
Or the obstacle I will always belong to you
For we are meant for each other
not only in reality, but also in our
Dreams

Wednesday, October 12, 2011

tere jaane ke baad...

tere jaane ke baad jaise jeene chhod diya,
har pal tanha reh kar marna chhod diya,
ek wo pal, tere bina saans bhi na lete the hum,
ab to tere aane ka intezaar bhi karna chhod diya...

Wednesday, September 28, 2011

har pal teri yaad mein, chup chap aansu bahaate rahe, dil hi dil mein rote rahe, chehre se muskurate rahe, ek tu thi, jo anjaan ban kar, humein toota hua chhod gayi, ek hum the, jo tujhe dene ke liye, apne dil ke tudke uthaate rahe...

Tuesday, September 27, 2011

Har lamha teri yaad mein,
Kuch aise tadapta hai ye dil,
Ki jaise barf ko, suraj se mila diya ho,
Ki jaise kisi patthar ko paani mein tairaya ho, ki jaisi kisi saans ko, jism mein hi daba diya ho...
Sent from BlackBerry® on Airtel

Sunday, September 25, 2011

tera ishq na ho napaak, isliye khud ko kuch aise tabaah kiya, ki jaise teri zindagi mein roshni kam ho rahi ho, aur maine khud ko jala diya...

Saturday, September 24, 2011

Har pal na tadpa, ek baar mein waar kar,
ya to maut de de, ya beintehaa pyaar kar,
yun chup reh ke, na imtehaan le mere ishq ka,
ya to inkaar kar, ya fir iqraar kar...

Thursday, September 22, 2011

My wings

I still have those wings with me, though i don't use them anymore...
They long for some freedom, some fresh air and sky, some tensions need to go up in smoke, some hearts need to laugh out loud...
I need to fly away from earth, and land on a distant cloud...

Sent from BlackBerry® on Airtel

Monday, September 19, 2011

Life...

life is not running away when you sense danger, it is not crying over your wounds... its about keeping your pain in the heart, facing your death in the face and saying... thats all you got?

Sunday, September 18, 2011

Bus teri aankhen hai, jinke sahaare jeete hain,
Bahaut kuch kehna hai, hoton ko jaise seete hain,
Jab bhi koi pooche kisko bhulaana hai, ki itni madira peete ho,
Muskura kar kehte hain,
Ki bhulaana un aashiqon ka kaam hai, jinko mohabbat par bharosa nahin,
Hum to aise aashiq hain, jo usey yaad rakhne ko peete hain...
Sent from BlackBerry® on Airtel
Kuch baatein thi to aaj bhi haathon mein chubhti hain,
Kuch raatein thi jo aaj bhi aankhon mein chubhti hain,
Ek waqt tha jab barsaat achchi lagti thi,
Ab boondein bhi badan par chubhti hain...


Sent from BlackBerry® on Airtel
Kuch dard dil mein chhupa rakhe hain,
Aankhon mein ashq chhupa rakhe hain,
Kya pata tujhe teri yaad mein kya haal hai mera,
Kuch sapne the, jo ab bhi basa rakhe hain,


Sent from BlackBerry® on Airtel

Tuesday, September 13, 2011

...

kuch dino mein tujhse bahaut dur chale jaayenge,
chahenge paas aana, fir bhi na aa paayenge,
saagar mein namak ki tarah kuch aise milenge hum,
bulaaoge jab kinaare se humko, sirf lehron ke jawaab aayege...

Friday, September 9, 2011

धुंआ...

पुछा किसी ने , कि क्यूँ धुंआ उड़ाते हो?
क्यूँ अपने दिल को, बेवजह जलाते हो?
मुस्कुरह कर कहा मैंने, ये मेरा शौक नहीं है,
एक बेवफा की याद में खुद को तद्पाते हैं,
धुंए के सहारे दर्द को भुलाते हैं,
एक टूटा हुआ दिल था, एक अनचाही सी मौत,
अब उन लम्हों को धुंए में उड़ाते हैं...


Thursday, September 8, 2011

हर बार तेरी खिड़की कि ओर नज़रें उठाता हूँ

हर बार तेरी खिड़की कि ओर देख कर नज़रें झुकाता हूँ,
फिर कुछ लम्हों को याद कर थोड़ा मुस्कुराता हूँ,
कुछ देर तेरे आने का इंतज़ार करता हूँ,
फिर नज़रें झुका कर आगे बढ़ जाता हूँ...

कभी तू नज़र आ जाए इस चाह में,
न जाने कितने चक्कर लगाता हूँ,
तू तो आती नहीं है, कभी तेरी परछाई दिखती है,
तो उसे देख कुछ कुछ मन में गुनगुनाता हूँ...

हर रोज़ उस तरफ नज़रें खुद ही जाती हैं,
जैसे अपने आप कोई डोर खींचती जाती है,
पहले थोड़ा प्यार आता है, कुछ तसवीरें सामने आती हैं,
फिर जैसे ज़िन्दगी रुक सी जाती है,
याद आता है कितनी दूरियां हैं दरमियान,
आँखें बस आंसू बहा के रह जाती हैं....

किसी तरह नज़रें हटाता हूँ,
खुद को कोसता हूँ, फिर आगे बढ़ जाता हूँ,
चाहूँ तो आँखें मूँद सकता हूँ,
पर न जाने क्यूँ खुद को तड़पाता हूँ,
हर बार तेरी खिड़की कि ओर नज़रें उठाता हूँ,
थोड़ी देर तड़पता हूँ, फिर आगे बढ़ जाता हूँ...

Tuesday, September 6, 2011

Dur se dekhte the to dikhti thi lau,
Aur us lau pe parwaana dikhaayi deta tha,
Paas gaye to usey ek sheesha paaya,
Jisme apna afsaana dikhaayi deta tha...

Apne dikhte the baigaane, ek baigaana apna dikhaayi deta tha,
Pata chala ki wo ek chhalaawa tha, ek bhram tha ishq ka,
Jisme mujhe us anjaani mein khuda dikhaayi deta tha...
Sent from BlackBerry® on Airtel
Khuda ne chaha to zindagi abaad hogi,
Ek aisa waqt aayega, jab hanseen si shaam hogi,
Kuch timtimaate taare, kuch chehchahaate panchhi honge,
Aur shaayad hamaari fir mulaqaat hogi...
Sent from BlackBerry® on Airtel

Only if you knew...

Only if you knew, how much you meant to me,
Only if you knew, how happy I used to be,
Only if you knew, what I have been through, since you left,
Only if you knew, how dead I am, even though you call me free...

You never knew stayed bed, just to be woken up by you,
I would shut my eyes, just not to let the sun through,

You never knew everyday, I used to think of you at lunch,
Used to wish you were with me, may it be dinner or brunch,

You never knew I used to write your name in my notes,
I used to live by your name, and remember all your quotes,

You never knew I would drink, just to make you angry,
Because I loved the way you shouted and scolded but cared when I got hungry,

You never knew I woke up all night, just to wake you up (whenever you asked me too)
And I would bunk my classes, and even sit under the table, just to see you through (webcam)

Only if you knew, I was quiet for a reason,
Cause didn't want you to get hurt,
I never said anything to you, even when I was gifted a pink shirt,

Only if you knew, how I had survived, with the hope of meeting my love,
To reach to you, so you wouldn't wait, how recklessly I drove,

Only if you knew every time we shook hands, my heart skipped a beat,
I kept myself a little dirty, even though you were no neat,

Only if you knew I never loved you, for what were your habits,
But I loved you for what you are, and not some pieces and bits,

I loved you good, from all my heart just to be shattered away,
Only if you knew what all I've done, you wouldn't have had walked away...
Sent from BlackBerry® on Airtel
Test blogpost, if you can see this, then I can now post from my phone too. :D
Sent from BlackBerry® on Airtel

Sunday, September 4, 2011

ek parwaane ko kya khaak jalna sikhaaoge?
ek sharaabi ko kya khaak peena sikhaaoge?
hum aise aise aashiq hain jinko maut se ishq hai,
hum jaison ko kya khak jeena sikhaaoge?

Sunday, August 28, 2011

karvatein le le kar thak gaya hun, par raat hai ki jaati nahin,
aansu to aa jaate hain aankhon mein, par neend hai ki aati nahin,
tujhe kya pata teri judaai mein kya aalam hai. Mera,
har pal tadap ke jee raha hun, aur maut hai ki aati nahin...

Saturday, August 27, 2011

tere ishq mein khud ko aisa jalaya, dil ke saath jism bhi raakh ho gaya,
teri chahat ka wo junoon, jiski wajah se main zinda tha, aaj wo junoon bhi khaak ho gaya...

Wednesday, August 24, 2011

कभी कभी.....

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है,
कि शायद तू मेरी कभी थी ही नहीं,

तेरा वो मुस्कुरा, नज़रें झुकाना, शर्मा के मेरी बाहों में आना,
वो सब एक छलावा था , एक धोखा था,
जिसको मैं सच समझता रहा,
तेरी बातों में, उन मुलाकातों में उलझता रहा,

तू शायद कभी मेरी थी ही नहीं,
वो तो मैं ही था जो तुझे अपना समझता रहा,

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है,
कि काश ये सब हकीकत में होता,
मैं तेरे साथ होता, तेरे पास, 
हांथों में हाथ होते, लफ़्ज़ों पे बात...

कभी कभी मेरे दिल में ख़याल आता है,
कि  ना  जाने  क्यूँ  झूठे  प्यार में खुद  को भुलाया,
एक बेवफा  कि खातिर  खुद को रुलाया,
जहां लगा तुझको  ज़रुरत  है मेरी,
तुझे रोशन  किया, चाहे  खुद को जलाया,

काश मेरी तुझसे  मुलाकात  ना होती,
काश कभी उस  ढंग  से, कुछ बात ना होती,
काश तेरे साथ ना चला  होता दिन  भर ,
काश तेरे जाने के बाद, ऐसी  घनी  रात  ना होती...

अब तो ये अन्धकार है, जिसमे जीते जाना है,
दर्द का घूँट, हर पल पीते जाना है,
चाहे जितना ही खुरेदे इन ज़ख्मों को तू,
हर बार मुझे बस, इन होंठों को सीते जाना है...

कुछ देर  तड़प  कर रह जाऊँगा,
कुछ दिनों बाद, आंसुओं में बह जाऊँगा,
कुछ महीनों का वक़्त लगेगा शायद,
तेरी ज़िन्दगी में सिर्फ एक याद बनकर रह जाऊँगा... 

Sunday, August 14, 2011

स्वतंत्रता दिवस की शुभ कामनाएं

Monday, August 8, 2011

har tasveer mein teri tasveer dikhaayi deti hai,
mere haathon mein jaise teri hi lakeer dikhaayi deti hai,
kyun na karu main har shaqs se mohabbat,
har shaqs mein mujhe meri heer dikhaayi deti hai...
baarish ki har boond, teri hi yaad dilaati hai,
jaise teri zulfe, hoton ko choo ke jaati hain,
ek ajeeb si tadap uth ti hai dil mein, jab bhi ye boondein chehre ko choo ke jaati hain...
Aaj tujhse jo baat hui, socha kuch aur der saath bita lete,
kuch ghante aur hum saath hote, to aur thoda muskura lete...
e zindagi, tu kehti rahi ki main tere jazbaat na samajh saka,
agar tune mere samjhe hote to dekhti,
ki kaise har pal, til til karke mara hun,
hoke bhi zinda kabr mein gada hun,
kaise bin saason ke, is shareer mein pada hun.

Tuesday, July 19, 2011

har baar maine dil ka haal likha,kabh dard, to kabhi pyar likha, jitni baar kaha mujhe likhne ko khuda ka naam, maine, tera naam, e mere yaar, likha

Saturday, July 16, 2011

aaj jee bhar ke peene de saaki, ki aaj madhosh hona hai,
kuch janmon tak aankhen na khule, kush aisa behosh hona hai,
kuch aansu giraane hain, kuch dard bahaane hain,
aaj ki hi raat hai, kal sapne saare toot jaane hain,
fir is aashiq par, bewafaai ka dosh hona hai,
aaj jee bhar ke peene de saaki aaj madhosh hona hai,
kuch janmon tak aankhen na khule, kuch aisa behosh hona hai...
aaj fir jaam peene ka mann hai,
thoda marne thoda jeene ka mann hai,
itni tadap hai dil mein kisko kya karun bayaan?
thoda lahu, thoda zeher peene ka mann hai...

Monday, July 11, 2011

har chehre mein tera chehra dikhaayi deta hai,
aankhon ka rang kaala, gehra dikhaayi deta hai,
tamanna hai tujhe keh du, mere dil mein jo baat hai,
par dur tak mujhe sirf pehra dikhaayi deta hai...

Sunday, July 10, 2011

teri baaton par aaj bhi aetbaar karta hun,
teri muskurahat pe aaj bhi jaan nisaar karta hun,
chahe bahaut dur hai tu aaj mujhse,
main aaj bhi tujhse utna hi pyar karta hun...
aaj bhi teri aankhon mein chahat yaad hai,
aaj bhi teri muskurahat yaad hai,
kisi ke kehta nahin hai ye shaks tere baare mein,
par aaj bhi tere aane ki wo aahat yaad hai...
whenever I think of you, I feel like dying,
everytime I see you face, I feel like crying,
I don't really know what's keeping me alive,
when I am close to you, I feel like trying(to live)

Monday, July 4, 2011

har gham mein muskurate rahe,
lafz nahin the to dhun hi gungunaate rahe,
andhkaar mila zindagi mein aisa,
adhere mein hi jage, andhere mein murjhaate rahe...
whenever I think of you, I feel like dying,
everytime I see you face, I feel like crying,
I don't really know what's keeping me alive,
when I am close to you,
I feel like trying(to live)

Monday, June 27, 2011

har kisi ne kaha tha zindagi bewafa hoti hai,
hum hi naadaan the, jo tujhe zindagi bana baithe..
main bahane bana ke jiye gaya, har pal aansu ke ghoont piye gaya,
Kya pata tha zindagi itni bewafa niklegi, main to is zindagi se ishq kiye gaya...

Wednesday, June 22, 2011

kaun kehta hai sirf mandir mein khuda dikhaayi dega,
meri aankhon mein dekh tujhe tera chehra dikhaayi dega,

Sunday, May 22, 2011

zindagi ki bewafai har shaqs ne jaani hai...
fir bhi har koi isse ishq karta hai...
har shaqs jaanta hai ki ye behta paani hai...
fir bhi har koi is pe marta hai...
Aaj Utni hi nafrat hai shayad tujhe mujhse, jitna kabhi pyar tha,

tabhi aaj humein marta dekh, tu muskurayi aur muh pher liya.

Thursday, May 19, 2011

aj bhi teri yaadon mein aakhen nam ho jaati hain,
aaj bhi teri aahat se ye saansein tham jaati hai...
Shayad aaj bhi tujhse utni hi mohabbat hai,
kyunki tujhe muskurata dekh khud se kuch shikayatein kam ho jaati hain...
Teri yaad mein aye bewafa... Hum Ghamon ke sahare jiye gaye... Kabhi madira humein peeti rahi, kabhi him madira ko piye gaye..
Tere intezaar mein jeeye jaa rahe the, tu aayi hai to darr hai, kahin him guzar na jaayein...