Showing posts with label hindi. Show all posts
Showing posts with label hindi. Show all posts

Wednesday, October 12, 2011

tere jaane ke baad...

tere jaane ke baad jaise jeene chhod diya,
har pal tanha reh kar marna chhod diya,
ek wo pal, tere bina saans bhi na lete the hum,
ab to tere aane ka intezaar bhi karna chhod diya...

Sunday, September 25, 2011

tera ishq na ho napaak, isliye khud ko kuch aise tabaah kiya, ki jaise teri zindagi mein roshni kam ho rahi ho, aur maine khud ko jala diya...

Saturday, September 24, 2011

Har pal na tadpa, ek baar mein waar kar,
ya to maut de de, ya beintehaa pyaar kar,
yun chup reh ke, na imtehaan le mere ishq ka,
ya to inkaar kar, ya fir iqraar kar...

Sunday, September 18, 2011

Bus teri aankhen hai, jinke sahaare jeete hain,
Bahaut kuch kehna hai, hoton ko jaise seete hain,
Jab bhi koi pooche kisko bhulaana hai, ki itni madira peete ho,
Muskura kar kehte hain,
Ki bhulaana un aashiqon ka kaam hai, jinko mohabbat par bharosa nahin,
Hum to aise aashiq hain, jo usey yaad rakhne ko peete hain...
Sent from BlackBerry® on Airtel
Kuch baatein thi to aaj bhi haathon mein chubhti hain,
Kuch raatein thi jo aaj bhi aankhon mein chubhti hain,
Ek waqt tha jab barsaat achchi lagti thi,
Ab boondein bhi badan par chubhti hain...


Sent from BlackBerry® on Airtel
Kuch dard dil mein chhupa rakhe hain,
Aankhon mein ashq chhupa rakhe hain,
Kya pata tujhe teri yaad mein kya haal hai mera,
Kuch sapne the, jo ab bhi basa rakhe hain,


Sent from BlackBerry® on Airtel

Tuesday, September 13, 2011

...

kuch dino mein tujhse bahaut dur chale jaayenge,
chahenge paas aana, fir bhi na aa paayenge,
saagar mein namak ki tarah kuch aise milenge hum,
bulaaoge jab kinaare se humko, sirf lehron ke jawaab aayege...

Friday, September 9, 2011

धुंआ...

पुछा किसी ने , कि क्यूँ धुंआ उड़ाते हो?
क्यूँ अपने दिल को, बेवजह जलाते हो?
मुस्कुरह कर कहा मैंने, ये मेरा शौक नहीं है,
एक बेवफा की याद में खुद को तद्पाते हैं,
धुंए के सहारे दर्द को भुलाते हैं,
एक टूटा हुआ दिल था, एक अनचाही सी मौत,
अब उन लम्हों को धुंए में उड़ाते हैं...


Thursday, September 8, 2011

हर बार तेरी खिड़की कि ओर नज़रें उठाता हूँ

हर बार तेरी खिड़की कि ओर देख कर नज़रें झुकाता हूँ,
फिर कुछ लम्हों को याद कर थोड़ा मुस्कुराता हूँ,
कुछ देर तेरे आने का इंतज़ार करता हूँ,
फिर नज़रें झुका कर आगे बढ़ जाता हूँ...

कभी तू नज़र आ जाए इस चाह में,
न जाने कितने चक्कर लगाता हूँ,
तू तो आती नहीं है, कभी तेरी परछाई दिखती है,
तो उसे देख कुछ कुछ मन में गुनगुनाता हूँ...

हर रोज़ उस तरफ नज़रें खुद ही जाती हैं,
जैसे अपने आप कोई डोर खींचती जाती है,
पहले थोड़ा प्यार आता है, कुछ तसवीरें सामने आती हैं,
फिर जैसे ज़िन्दगी रुक सी जाती है,
याद आता है कितनी दूरियां हैं दरमियान,
आँखें बस आंसू बहा के रह जाती हैं....

किसी तरह नज़रें हटाता हूँ,
खुद को कोसता हूँ, फिर आगे बढ़ जाता हूँ,
चाहूँ तो आँखें मूँद सकता हूँ,
पर न जाने क्यूँ खुद को तड़पाता हूँ,
हर बार तेरी खिड़की कि ओर नज़रें उठाता हूँ,
थोड़ी देर तड़पता हूँ, फिर आगे बढ़ जाता हूँ...

Tuesday, September 6, 2011

Dur se dekhte the to dikhti thi lau,
Aur us lau pe parwaana dikhaayi deta tha,
Paas gaye to usey ek sheesha paaya,
Jisme apna afsaana dikhaayi deta tha...

Apne dikhte the baigaane, ek baigaana apna dikhaayi deta tha,
Pata chala ki wo ek chhalaawa tha, ek bhram tha ishq ka,
Jisme mujhe us anjaani mein khuda dikhaayi deta tha...
Sent from BlackBerry® on Airtel
Khuda ne chaha to zindagi abaad hogi,
Ek aisa waqt aayega, jab hanseen si shaam hogi,
Kuch timtimaate taare, kuch chehchahaate panchhi honge,
Aur shaayad hamaari fir mulaqaat hogi...
Sent from BlackBerry® on Airtel

Sunday, August 28, 2011

karvatein le le kar thak gaya hun, par raat hai ki jaati nahin,
aansu to aa jaate hain aankhon mein, par neend hai ki aati nahin,
tujhe kya pata teri judaai mein kya aalam hai. Mera,
har pal tadap ke jee raha hun, aur maut hai ki aati nahin...

Saturday, July 16, 2011

aaj jee bhar ke peene de saaki, ki aaj madhosh hona hai,
kuch janmon tak aankhen na khule, kush aisa behosh hona hai,
kuch aansu giraane hain, kuch dard bahaane hain,
aaj ki hi raat hai, kal sapne saare toot jaane hain,
fir is aashiq par, bewafaai ka dosh hona hai,
aaj jee bhar ke peene de saaki aaj madhosh hona hai,
kuch janmon tak aankhen na khule, kuch aisa behosh hona hai...
aaj fir jaam peene ka mann hai,
thoda marne thoda jeene ka mann hai,
itni tadap hai dil mein kisko kya karun bayaan?
thoda lahu, thoda zeher peene ka mann hai...

Thursday, May 19, 2011

aj bhi teri yaadon mein aakhen nam ho jaati hain,
aaj bhi teri aahat se ye saansein tham jaati hai...
Shayad aaj bhi tujhse utni hi mohabbat hai,
kyunki tujhe muskurata dekh khud se kuch shikayatein kam ho jaati hain...