Thursday, December 27, 2012

Kuch pal hi sahi, tere ishq mein hum khul kar jee liye,
Kuch aansu hi to the, jo paani ki tarah pee liye,
Aaj jab teri tasveer saamne aayi to ehsaas hua,
Wo kuch lamhen hi the, jinme humne apne toote sapne see liye,

Ek raat fir kategi neend ke bina,
Ek aahat ka aaj fir intezaar,
Saalon guzar gaye hain tujhse juda huye,
Par shaayad mein aaj bhi tujhse hi pyaar hai,

Dil ki sunte to baagi kehlate,
Isliye in honthon ko band rakha,
Aaj bhi jab lab khule to ehsaas hua,
In par ab bhi tera hi naam hai

Aaj raat barson ke baad, aankhon se aansu gira,
To dekha usne tera chehra dikhaayi diya,
Socha jab maut ke baad mil lenge tujhse,
To maut par bhi zindagi ka pehra dikhaayi diya

Ye bus ek raat hai, soch kar shaayad kaat lenge,
Un hansen palon mein se sapne chhaant lenge,
Par jab bhi dhadkega ye dil, tere hone ka ehsaas hoga,
Is zindagi mein hum khushnaseeb rahe, to sanam tu mere paas hoga...

Sunday, December 16, 2012

Mere duniya se guzar jaane ke baad, meri asthiyaan Ganga mein zaroor baha dena,
Taaki is zindagi mein kiye paap, maut ke baad dhul jaayein...

Saturday, December 15, 2012

Itna dur chala aaya hun tujhse,
Ki ab to tere itr ki khushboo bhi nahi aati,
Har ore tadap kar dekh liya tujhe,
Par teri parchhaayi bhi nazar nahi aati,
Kuch aise toota hai ye dil tere jaane se,
Ki choor choor ho raha hai astitva, par aawaz nahi aati...

Wednesday, October 3, 2012

मोह । ना मनुष्य को शांती से जीवन व्यतीत करने देता है , ना ही शांती पूर्वक मृत्यु को प्राप्त होने देता है ।

Wednesday, July 18, 2012

Humein zindagi se ishq nahi,
Hum to maut ke sahaare jiye jaa rahe hain,
Kahin pyaase na mar jaayein,
Isliye is sharaab ko piye jaa rahe hain,
Wo dekhti hai to kehti hai kitne khush hain hum,
Usey kya pata hum har pal is dil ka katl kiye jaa rahe hain...

Tuesday, July 17, 2012

unhone pucha aise zindagi bataate kaise ho,
har pal khushi mein muskuraate kaise ho,

maine kahan hum chahe har pal muskuraate hain,
par ye nahin ki hamesh khushi mein khilkhilaate hain,
kabhi kabhi hi chahe sahi, par in aankhon mein gham ke, kuch ek aansu bhi aate hain..

Wednesday, June 13, 2012

तेरी आँखों में आज भी जन्नत दिखाई देती है ,
तेरे आने की जैसे हर आहात सुनाई देती है ,
लोग कहते हैं उन्हें तुझमें एक बेवफा दिखती है ,
मुझे तो तुझमें अपनी अमानत दिखाई देती है ...

Monday, June 4, 2012


ek waqt tha jab hum bhi insaan the,
ek aaj hai jo hum patthar ban gaye,
ek baar is sheeshe ke dil ko toda tha us bewafa na,
jiske baad aansu zeher, dil ke tukde khanjar ban gaye,

ab hum har waqt muskurate hain,
na to kisi ke liye dil dhadkaate hain,
na hi kisi ke liye aansu bahate hain,
ek lau ki tarah waqt beete, andhere mein jalte jaate hain,
jab bhi raah dikhti hai aage, sab chhod badhhte jaate hain...

Monday, May 14, 2012

Tujhe kya khabar teri raahon mein kitne kaante the, wo hum the apne haanthon se unhe hataate rahe,
Tujhe kya khabar teri raahon mein kitne angaare the, wo hum the jo in aansuon se unhe bujhaate rahe,
Bus ek khwahish thi dil mein ki tera saath kabhi na chhoote, tujhe kya khabar tujhe jaata dekh hum kaise tilmilaate rahe,
Kaise dard ke khanjar se, ishq ka khoon bahaate rahe,
Pal pal hum marte rahe, fir bhi muskuraate rahe...

Sunday, May 13, 2012

Sh. Amitabh Bachhan reciting Madhushala

Sh. Amitabh Bachhan reciting Madhushala, one of the best poems even written.

Author: Sh. Harivansh Rai Bachchan

kabhi tere alfaazon pe itna yakeen tha, ki teri awaaz ke peeche andheron mein badhte chale gaye...
aaj khud pe itna bhi nahin hai, ki roshni mein akele khade ho sakein...
Itne faasle hain darmiyan ki awaaz sunaati deti nahin,
Itne andhere hain darmiyaan ki roshni dikhayi deti nahin, 
Itni baarishein hain darmiyaan, ki astitva beh chuke hai,
itni ranjishein hai darmiyaan, ki ishq ki hasti dikhayi deti nahin...

I am a dragon, try to hunt me and i'll burn you,
I am a centaur, try to bind me and i'll hurt you,
I am a heart, hurt but still beating,
I am  home, don't be good to me and i'll shut you (out).

I am a soul, a free bird I am,
I am a traveller, not stalled by any scam.
I am the mountain, the sea I am,
I am a river, and a plant's newly born stem.
I am nature, and nature is me,
I less you love yourself, the more, i'll love thee...

Tu ne mujhe badalna chaha, main badal gaya,
Kabhi kabhi ladkhadaaya,to kabhi sambhal gaya,
Ab bhi sochta hun ki kya wajah rahi hogi, tere mujhse aise pesh aane ki,
Ki ishq to wahi raha, par shaqs badal gaya....
Kya khaak karein din ki shuruat, jab raat aansuon mein guzarti rahi,
Jitni baar bhi dekha nazar utha kar, tu jaise saaye se ubharti rahi, dhokha kaho aankhon ka, ya dil ki awaaz, ki tujhe fir dekha subah,
Ya shaayad fir wo meri hi rooh thi, jo in hawaaon ke saath guzarti rahi...

Friday, April 13, 2012

kabhi waqt badal gaya, kabhi aadat badal gayi,
jin aankhon se ki thi mohabbat wo aankhein badal gayi,
socha tha is kismat ke sahaare unse ek ho jaayenge hum,
par ek waqt aisa aaya, ki kismat badal gayi...
andheron se ghire huye hain, akele chal rahe hain hum,
ek bhoole huye mandir mein, aakhri lau se jal rahe hain hum,
kya kahein kaise jeete hain, har pal tadap ke,
ek barf mein dafn, aakhri saans ki tarah, ukhad ke sambhal rahe hain...

Monday, February 13, 2012

ye dekh patangein bhi hairan ho gayi, ki ab to chhatein bhi hindu musalmaan ho gayi...

Tuesday, January 31, 2012

waqt ki chaukhat par ek aur sar kalam ho gaya, kya kahein kisi se, hamaari khata kya thi...
sard raat ko hawa bhi kya khaak ko aise tadpati hogi, jaise tera chehra is rooh ko tadpata hai, talwar to sirf maut de kar rukti hai, par teri aahaton ka khanjar dil chalni kar jaata hai...

Thursday, January 19, 2012

kisi se vaada kiya tha muskurane ka, hum muskurate rahe, hum chalte rahe unke peeche, wo dur jaate rahe, na jaane kya shikwa thi unhe humse, hum marte rahe, wo muskurate rahe...
tere ishq mein, tujhse dur reh kar, jaise zindagi tabaah lagti hai, sardion mein aur tadpaati, jaise sard hawa lagti hai, kuch aise bus gayi hai, ye doorie humaare beench mein, ab to zindagi bhi ye, bewafa lagti hai...

Monday, January 16, 2012

khuda se jab mulakat hui, usse kaha tere ishq ko salaamat rakhe, tere rooh ki khushboo, teri aankhon ki garmi ko, tere zulfon ki jhadi ko salaamat rakhe, sirf main ya khuda jaanta hai, tere deedar ke bina ab din kaise kat-te hain, tere ek aur deedar ke liye, meri aankhon ko salaamat rakhe...