Wednesday, July 18, 2012

Humein zindagi se ishq nahi,
Hum to maut ke sahaare jiye jaa rahe hain,
Kahin pyaase na mar jaayein,
Isliye is sharaab ko piye jaa rahe hain,
Wo dekhti hai to kehti hai kitne khush hain hum,
Usey kya pata hum har pal is dil ka katl kiye jaa rahe hain...

Tuesday, July 17, 2012

unhone pucha aise zindagi bataate kaise ho,
har pal khushi mein muskuraate kaise ho,

maine kahan hum chahe har pal muskuraate hain,
par ye nahin ki hamesh khushi mein khilkhilaate hain,
kabhi kabhi hi chahe sahi, par in aankhon mein gham ke, kuch ek aansu bhi aate hain..

Wednesday, June 13, 2012

तेरी आँखों में आज भी जन्नत दिखाई देती है ,
तेरे आने की जैसे हर आहात सुनाई देती है ,
लोग कहते हैं उन्हें तुझमें एक बेवफा दिखती है ,
मुझे तो तुझमें अपनी अमानत दिखाई देती है ...

Monday, June 4, 2012


ek waqt tha jab hum bhi insaan the,
ek aaj hai jo hum patthar ban gaye,
ek baar is sheeshe ke dil ko toda tha us bewafa na,
jiske baad aansu zeher, dil ke tukde khanjar ban gaye,

ab hum har waqt muskurate hain,
na to kisi ke liye dil dhadkaate hain,
na hi kisi ke liye aansu bahate hain,
ek lau ki tarah waqt beete, andhere mein jalte jaate hain,
jab bhi raah dikhti hai aage, sab chhod badhhte jaate hain...

Monday, May 14, 2012

Tujhe kya khabar teri raahon mein kitne kaante the, wo hum the apne haanthon se unhe hataate rahe,
Tujhe kya khabar teri raahon mein kitne angaare the, wo hum the jo in aansuon se unhe bujhaate rahe,
Bus ek khwahish thi dil mein ki tera saath kabhi na chhoote, tujhe kya khabar tujhe jaata dekh hum kaise tilmilaate rahe,
Kaise dard ke khanjar se, ishq ka khoon bahaate rahe,
Pal pal hum marte rahe, fir bhi muskuraate rahe...

Sunday, May 13, 2012

Sh. Amitabh Bachhan reciting Madhushala

Sh. Amitabh Bachhan reciting Madhushala, one of the best poems even written.

Author: Sh. Harivansh Rai Bachchan

kabhi tere alfaazon pe itna yakeen tha, ki teri awaaz ke peeche andheron mein badhte chale gaye...
aaj khud pe itna bhi nahin hai, ki roshni mein akele khade ho sakein...