Monday, June 4, 2012


ek waqt tha jab hum bhi insaan the,
ek aaj hai jo hum patthar ban gaye,
ek baar is sheeshe ke dil ko toda tha us bewafa na,
jiske baad aansu zeher, dil ke tukde khanjar ban gaye,

ab hum har waqt muskurate hain,
na to kisi ke liye dil dhadkaate hain,
na hi kisi ke liye aansu bahate hain,
ek lau ki tarah waqt beete, andhere mein jalte jaate hain,
jab bhi raah dikhti hai aage, sab chhod badhhte jaate hain...

Monday, May 14, 2012

Tujhe kya khabar teri raahon mein kitne kaante the, wo hum the apne haanthon se unhe hataate rahe,
Tujhe kya khabar teri raahon mein kitne angaare the, wo hum the jo in aansuon se unhe bujhaate rahe,
Bus ek khwahish thi dil mein ki tera saath kabhi na chhoote, tujhe kya khabar tujhe jaata dekh hum kaise tilmilaate rahe,
Kaise dard ke khanjar se, ishq ka khoon bahaate rahe,
Pal pal hum marte rahe, fir bhi muskuraate rahe...

Sunday, May 13, 2012

Sh. Amitabh Bachhan reciting Madhushala

Sh. Amitabh Bachhan reciting Madhushala, one of the best poems even written.

Author: Sh. Harivansh Rai Bachchan

kabhi tere alfaazon pe itna yakeen tha, ki teri awaaz ke peeche andheron mein badhte chale gaye...
aaj khud pe itna bhi nahin hai, ki roshni mein akele khade ho sakein...
Itne faasle hain darmiyan ki awaaz sunaati deti nahin,
Itne andhere hain darmiyaan ki roshni dikhayi deti nahin, 
Itni baarishein hain darmiyaan, ki astitva beh chuke hai,
itni ranjishein hai darmiyaan, ki ishq ki hasti dikhayi deti nahin...

I am a dragon, try to hunt me and i'll burn you,
I am a centaur, try to bind me and i'll hurt you,
I am a heart, hurt but still beating,
I am  home, don't be good to me and i'll shut you (out).

I am a soul, a free bird I am,
I am a traveller, not stalled by any scam.
I am the mountain, the sea I am,
I am a river, and a plant's newly born stem.
I am nature, and nature is me,
I less you love yourself, the more, i'll love thee...

Tu ne mujhe badalna chaha, main badal gaya,
Kabhi kabhi ladkhadaaya,to kabhi sambhal gaya,
Ab bhi sochta hun ki kya wajah rahi hogi, tere mujhse aise pesh aane ki,
Ki ishq to wahi raha, par shaqs badal gaya....