Showing posts with label death. Show all posts
Showing posts with label death. Show all posts

Wednesday, October 12, 2011

tere jaane ke baad...

tere jaane ke baad jaise jeene chhod diya,
har pal tanha reh kar marna chhod diya,
ek wo pal, tere bina saans bhi na lete the hum,
ab to tere aane ka intezaar bhi karna chhod diya...

Sunday, September 25, 2011

tera ishq na ho napaak, isliye khud ko kuch aise tabaah kiya, ki jaise teri zindagi mein roshni kam ho rahi ho, aur maine khud ko jala diya...

Saturday, September 24, 2011

Har pal na tadpa, ek baar mein waar kar,
ya to maut de de, ya beintehaa pyaar kar,
yun chup reh ke, na imtehaan le mere ishq ka,
ya to inkaar kar, ya fir iqraar kar...

Tuesday, September 13, 2011

...

kuch dino mein tujhse bahaut dur chale jaayenge,
chahenge paas aana, fir bhi na aa paayenge,
saagar mein namak ki tarah kuch aise milenge hum,
bulaaoge jab kinaare se humko, sirf lehron ke jawaab aayege...

Friday, September 9, 2011

धुंआ...

पुछा किसी ने , कि क्यूँ धुंआ उड़ाते हो?
क्यूँ अपने दिल को, बेवजह जलाते हो?
मुस्कुरह कर कहा मैंने, ये मेरा शौक नहीं है,
एक बेवफा की याद में खुद को तद्पाते हैं,
धुंए के सहारे दर्द को भुलाते हैं,
एक टूटा हुआ दिल था, एक अनचाही सी मौत,
अब उन लम्हों को धुंए में उड़ाते हैं...


Sunday, September 4, 2011

ek parwaane ko kya khaak jalna sikhaaoge?
ek sharaabi ko kya khaak peena sikhaaoge?
hum aise aise aashiq hain jinko maut se ishq hai,
hum jaison ko kya khak jeena sikhaaoge?

Sunday, August 28, 2011

karvatein le le kar thak gaya hun, par raat hai ki jaati nahin,
aansu to aa jaate hain aankhon mein, par neend hai ki aati nahin,
tujhe kya pata teri judaai mein kya aalam hai. Mera,
har pal tadap ke jee raha hun, aur maut hai ki aati nahin...