Thursday, December 27, 2012

Kuch pal hi sahi, tere ishq mein hum khul kar jee liye,
Kuch aansu hi to the, jo paani ki tarah pee liye,
Aaj jab teri tasveer saamne aayi to ehsaas hua,
Wo kuch lamhen hi the, jinme humne apne toote sapne see liye,

Ek raat fir kategi neend ke bina,
Ek aahat ka aaj fir intezaar,
Saalon guzar gaye hain tujhse juda huye,
Par shaayad mein aaj bhi tujhse hi pyaar hai,

Dil ki sunte to baagi kehlate,
Isliye in honthon ko band rakha,
Aaj bhi jab lab khule to ehsaas hua,
In par ab bhi tera hi naam hai

Aaj raat barson ke baad, aankhon se aansu gira,
To dekha usne tera chehra dikhaayi diya,
Socha jab maut ke baad mil lenge tujhse,
To maut par bhi zindagi ka pehra dikhaayi diya

Ye bus ek raat hai, soch kar shaayad kaat lenge,
Un hansen palon mein se sapne chhaant lenge,
Par jab bhi dhadkega ye dil, tere hone ka ehsaas hoga,
Is zindagi mein hum khushnaseeb rahe, to sanam tu mere paas hoga...

Sunday, December 16, 2012

Mere duniya se guzar jaane ke baad, meri asthiyaan Ganga mein zaroor baha dena,
Taaki is zindagi mein kiye paap, maut ke baad dhul jaayein...

Saturday, December 15, 2012

Itna dur chala aaya hun tujhse,
Ki ab to tere itr ki khushboo bhi nahi aati,
Har ore tadap kar dekh liya tujhe,
Par teri parchhaayi bhi nazar nahi aati,
Kuch aise toota hai ye dil tere jaane se,
Ki choor choor ho raha hai astitva, par aawaz nahi aati...