Monday, November 21, 2011

in sard raaton mein un garm haathon ko dil ke paas mehsoos karta hun.... un bhaari saason ko mujhe kuch kehte mehsoos karta hun, mehsoos karta hun un aankhon ka meri or pyaar se dekhna, un lamhon ko fir se jee ta mehsoos karta hun...

Thursday, November 17, 2011

maine ishq mein bus ek hi khata ki, ki tujhe apna khuda bana diya... Aisi saza e maut mili is aashiq ko tere, ki saansein chalne di, par dil nikal liya...

Wednesday, November 16, 2011

ar kisi se muskura kar milte hain, logon ko gale laga kar milte hain, kya pata kisiko, kitne zakhm hain is dil mein, hum wo hain, jo chahe milne par rooh dard se tilmila uthe, fir bhi jaan luta kar milte hain...

Sunday, November 13, 2011

mujhse na pooch main itni kyun peeta hun ae saaki, bus itna samajh le, kuch baatein hain jo yaad karni hain, kuch log hain, jinko bhulaana hain, bahaut arsa ho gaya hai mujhe dil khol ke roye, shaayad aankhon se mujhe wo aansu chalkaana hai...

Wednesday, November 9, 2011

hafton ho gaye mujhe chain se soye huye,
shaayad wo teri hi aahat hai, jo aaj bhi meri need tod jaati hai...

Sunday, November 6, 2011


aisa kya gunaah ar diya maine e khuda,
ki har baar ek hi sazaa deta hai,
jis ne dil ok chalni kar diya,
har din usi se mila deta hai....

aise zulm ka main haqdaar nahin,
tere ehsaano ka to main karzdaar nahin,
aisi saza kis se jalke tu ne di hai mujhe,
itna to kisi ko bhi mujhse pyaar nahin...

har roz mere saamne uska anaa ek saza hai,
uska mujhe kuch kehna, tera mujhse kuch kehelwana ek saza hai,
kya khaak ishq pe bharosa karun main e khuda,
ter hote huye to ishq bhi ek sazaa hai...

pehle dil ka dhadakna rok nahin saka,
fir meri kisi bhi galti pe mujhe tok nahin saka,
aisa kya pyar ha tujhe is badnaam aashiq se,
mujhe maut ki aag meni bhi jhonk nahin saka...

Saturday, November 5, 2011


tu mere dil ka dard dekh, meri muskurahat pe na ja,
is tadapte dil ki awaaz sun, pairon ki aahat pe na jaa,
tujhe ek pal bhi ehsaas nahin hota, kitne akele jee rahe hain hum,
kabhi gaur se meri aankhon mein dekh, is khush karti garmaahat pe na jaa...

Friday, November 4, 2011

sapno ka peecha kab tak karein, sapne to aksar toot jaate hain,
jin haathon mein rakhte hain zindagi, wo haath aksar chhoot jaate hain,
so jaane ki ab himmat nahin, mujhme ae dost,
kyunki sapno mein fir se, wahi bewafa nazar aate hain,
raat ko sapne dikhaate hain, subah unhe tod jaate hain...

Thursday, November 3, 2011

kyun tera chehra, baar baar, saamne aa jaata hai?
kyun meri shaant dhadkan fir tadpa jaata hai?
kya gunaah hai mera, mujhe bata e sanam,
kyun bujhti aag ko, fir se jala jaata hai,
kyun tera chehra, baar baar, saamne aata hai?
hum har pal izhaar e ishq karte rahe, tum har pal usey thukraate rahe, 
humne har pal tumhaare kareeb aana chaha, tum har pal dur jaate rahe,
 kaisa khel khela tumne mere ishq ke saath, 
ki humein rota dekh, tum dur khade muskurate rahe...
jo khat tu bina padhe jalati rahi ae bewafa, wo sirf khat nahin tha...
wo is aashiq ka janaaza tha, jo tudko mein uth-ta raha...
pichhle chand lamhon mein, kuch aise sapne toote,
kuch aisi baatein hui, kuch aise bandhan chhote,
ki ab har pal, dil se ek hi awaaz nikalti hai....

khuda haafiz e ajnabee, khuda haafiz...
wo muskura kar zeher dete rahe, hum muskura kar peete rahe,
unko lag shaayad chal base hum, hum tanhai mein jeete rahe,
aaj fir jab mulakaat hui, to na hum, na wo nazrein mila sake,
wo bhi na bole kuch, aur hum bhi honth seete rahe...
tere ishq mein khud ko duba diya, 
teri yaadon mein mein khud ko bhula diya, 
aisa ishq hai aaj bhi tujhse,
Teri yaadon mein kudhko mita diya...