Monday, October 17, 2011

Kuch lamhe duur na reh paate the,
Ab to baat bhi nahin hoti,
Zindagi meri jaise aadhi si hai, jaise din to hai par raat nahin hoti,

Ab na to un taaron mein koi dilchaspi hai, jinki chaadar tale raat guzaara karte the,
Na hi chah hai ab un jaise kisi ki, jinki hum zulfe sawaara karte the,

Itne toot gaye hain, ki ab zindagi ya maut ka farak nahin padhta,
Kuch aise bandhe hain kadiyon se pair is aashiq ke, ki jitna bhi chahe aage badhe nahin badhta,

Jab tak saansein chalti rahin, hum saansein liye jaayenge,
Insaan to reh na sakenge, moorat ki tarah jeeye jaayenge,
Jab tak aayenge wo waapas, shaayad der ho chukegi,
Hum unko yaad karke duniya se chale jaayenge...
Sent from BlackBerry® on Airtel

Saturday, October 15, 2011

teri saanson ki garmahat mein jiye jaa rahe hain,
aansuon ko paani ki tarah piye ja rahe hain,
Kya khabar thi humein, tu aaj humein yaad bhi na karegi,
Hum to is dil ko aaj bhi dard diye ja rahe hain...

Dreams...




DREAMS

I was thinking of us last night
And the times we shared
How good we were
But now we are apart
Yet we still have our
Dreams

For in our Dreams we are together
Holding hands on the beach
Talking all night under the silver moon
Kissing and holding each other tight
Dreams

For no matter the distance
Or the obstacle I will always belong to you
For we are meant for each other
not only in reality, but also in our
Dreams

Wednesday, October 12, 2011

tere jaane ke baad...

tere jaane ke baad jaise jeene chhod diya,
har pal tanha reh kar marna chhod diya,
ek wo pal, tere bina saans bhi na lete the hum,
ab to tere aane ka intezaar bhi karna chhod diya...